Kisse aur kahaniya

Follow Kisse aur kahaniya
Share on
Copy link to clipboard

Stories of love, freedom, expression, and honesty

Shy and jealous

  • Dec 26, 2020 LATEST EPISODE
  • infrequent NEW EPISODES
  • 1m AVG DURATION
  • 20 EPISODES


Search for episodes from Kisse aur kahaniya with a specific topic:

Latest episodes from Kisse aur kahaniya

Toh kya hua

Play Episode Listen Later Dec 26, 2020 3:50


To all the love stories that didnt happen

Hujum e giriya - Ali Akbar Natiq - Narrated by - Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Sep 12, 2020 2:53


hameñ bhī ro le hujūm-e-girya ki phir na ā.eñge ġham ke mausam hameñ bhī ro le ki ham vahī haiñ jo āftāboñ kī bastiyoñ se surāġh laa.e the un saveroñ kā jin ko shabnam ke pahle qatroñ ne ġhusl baḳhshā safed rañgoñ se nūr-e-ma.anī nikāl lete the aur chāñdī ujālte the shafaq pe Thahre sunahre bādal se zard sone ko Dhālte the ḳhunuk havāoñ meñ ḳhushbuoñ ko milā ke un ko uḌāne vaale sabā kī partoñ pe sher likh kar adam kī shakleñ banāne vaale dimāġh rakhte the lafz o ma.anī kā aur dast-e-hunar ke mālik vaqār-e-nūr-e-charāġh ham the hameñ bhī ro le hujūm-e-girya hameñ bhī ro le ki ham vahī haiñ jo tez āñdhī meñ saaf chehroñ ko dekh lete the aur sāñsoñ ko bhāñpte the falak-nashīnoñ se guftugūeñ thiiñ aur pariyoñ se khelte the karīm logoñ kī sohbatoñ meñ kushāda kū-e-saḳhā ko dekhā kabhī na rokā thā ham ko sūraj ke chobdāroñ ne qasr-e-baizā ke dāḳhle se vahī to ham haiñ vahī to ham haiñ jo luT chuke haiñ hafīz rāhoñ pe luTne vaale usī falak kī siyah-zamīñ par jahāñ pe larzāñ haiñ shor-e-nāla se ādiloñ kī sunahrī kaḌiyāñ hameñ bhī ro le hujūm-e-girya hameñ bhī ro le ki in dinoñ meñ hamārī pushtoñ pe baar hotā hai zaḳhm-e-tāza ke surḳh phūloñ kā aur gardan meñ sard aahan kī kohna laḌiyāñ hamārī zid meñ safed nāḳhun qalam banāne meñ dast-e-qātil kā saath dete haiñ aur neze uchhālte haiñ havā kī lahroñ ne reg-e-sahrā kī tez dhāroñ se rishte joḌe sharīr hāthoñ se kañkaroñ kī siyāh bārish ke rābte haiñ hamārī zid meñ hī mulkoñ mulkoñ ke shahryāroñ ne ahd bāñdhe yahī ki ham ko dhueñ se bāñdheñ aur ab dhueñ se bañdhe hue haiñ so ham pe rone ke nauha karne ke din yahī haiñ hujūm-e-girya ki musta.id haiñ hamāre mātam ko gahre sāyoñ kī sard shāmeñ ḳhizāñ-rasīda tavīl shāmeñ hameñ bhī ro le hujūm-e-girya ki phir na ā.eñge ġham ke mausam

Abhi toh main jawan hu - Hafeez Jalandhari - narrated by - Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Sep 1, 2020 3:20


havā bhī ḳhush-gavār hai guloñ pe bhī nikhār hai (Flowers are bright and fresh) tarannum-e-hazār hai (Thousand rhymes) bahār pur-bahār hai (Abundant blooms) kahāñ chalā hai sāqiyā (bartender) idhar to lauT idhar to aa are ye dekhtā hai kyā uThā subū subū uThā (Pick the goblet) subū uThā pyāla(cup) bhar pyāla bhar ke de idhar chaman kī samt kar nazar (Look at Gardens direction) samāñ to dekh be-ḳhabar vo kaalī kaalī badliyāñ ufuq pe ho ga.iiñ ayaañ (Horizon is so clear) vo ik hujūm-e-mai-kashāñ (That Crowd of drinker) hai sū-e-mai-kada ravāñ (Towards tavern, flowing) ye kyā gumāñ hai bad-gumāñ (Whats the doubt and suspicion) samajh na mujh ko nā-tavāñ (weak) ḳhayāl-e-zohd abhī kahāñ (Thoughts of pity) abhī to maiñ javān huuñ ibādatoñ kā zikr hai (Prayers are mentioned) najāt (salvation) kī bhī fikr hai junūn hai savāb(reward of good deeds) kā ḳhayāl hai azaab(agony) kā magar suno to shaiḳh jī ajiib shai(thing) haiñ aap bhī bhalā shabāb(youth) o āshiqī alag hue bhī haiñ kabhī hasīn jalva-rez hoñ (Manifestation in glory) adā.eñ fitna-ḳhez hoñ (Style seditious) havā.eñ itr-bez(spreading fragrance) hoñ to shauq kyuuñ na tez hoñ nigār-hā-e-fitnagar (Temptation of the sweetheart) koī idhar koī udhar ubhārte hoñ aish par to kyā kare koī bashar (man) chalo jī qissa-muḳhtasar (long story short) tumhārā nuqta-e-nazar (point of view) durust hai to ho magar abhī to maiñ javān huuñ ye gasht kohsār kī (Patrolling of mountains) ye sair jū-e-bār(dividing stream of liquid) ye bulbuloñ ke chahchahe ye gul-ruḳhoñ ke qahqahe (beautiful exclusive laughter) kisī se mel ho gayā to rañj (sorrow) o fikr kho gayā kabhī jo baḳht (luck) so gayā ye hañs gayā vo ro gayā ye ishq kī kahāniyāñ ye ras bharī javāniyāñ udhar se mehrbāniyāñ idhar se lan-tarāniyāñ (tall tales) ye āsmān ye zamīñ nazāra-hā-e-dil-nashīñ (Beautiful sightings) inheñ hayāt-āfrīñ (Praiseworthy life) bhalā maiñ chhoḌ duuñ yahīñ hai maut is qadar qarīñ (close) mujhe na aa.egā yaqīñ nahīñ nahīñ abhī nahīñ abhī to maiñ javān huuñ na ġham kushūd(openness) o bast(close-knit) kā buland kā na past kā (Neither high or low) na buud kā na hast kā (Neither past nor existing) na vāda-e-alast kā (Promise of the day of creation) ummīd aur yaas(despair) gum havās gum qayās gum (The senses and presumptions are lost) nazar se aas paas gum hama-bajuz gilās gum (Everything but the glass is lost) na mai(liquor) meñ kuchh kamī rahe qadah se hamdamī rahe (Bowl keeps friendships alive) nashist (gathering) ye jamī rahe yahī hamā-hamī(bragging boasting) rahe vo raag chheḌ mutribā (female singer) tarab-fazā, alam-rubā (Joyful or sorrowful) asar sadā-e-sāz(music of intruments) kā jigar meñ aag de lagā har ek lab pe ho sadā (voice) na haath rok sāqiyā pilā.e jā pilā.e jā abhī to maiñ javān huuñ

Ae Roshniyo ke Sheher - Faiz Ahmed Faiz - Narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Aug 8, 2020 1:17


sabza sabza suukh rahī hai phīkī zard dopahar dīvāroñ ko chaaT rahā hai tanhā.ī kā zahr duur ufuq tak ghaTtī baḌhtī uThtī rahtī hai kohr kī sūrat be-raunaq dardoñ kī gadlī lahr bastā hai is kohr ke pīchhe raushniyoñ kā shahr ai raushniyoñ ke shahr kaun kahe kis samt hai terī raushniyoñ kī raah har jānib be-nūr khaḌī hai hijr kī shahr-panāh thak kar har sū baiTh rahī hai shauq kī maand sipāh aaj mirā dil fikr meñ hai ai raushniyoñ ke shahr shab-ḳhūñ se muñh pher na jaa.e armānoñ kī rau ḳhair ho terī lailāoñ kī un sab se kah do aaj kī shab jab diye jalā.eñ ūñchī rakkheñ lau City of Lights On each patch of green, from one shade to the next, the noon is erasing itself by wiping out all color, becoming pale, desolation everywhere, the poison of exile painted on the walls. In the distance, there are terrible sorrows, like tides: they draw back, swell, become full, subside. They've turned the horizon to mist. And behind that mist is the city of lights, my city of many lights. How will I return to you, my city, where is the road to your lights? My hopes are in retreat, exhausted by these unlit, broken walls, and my heart, their leader, is in terrible doubt. But let all be well, my city, if under cover of darkness, in a final attack, my heart leads its reserves of longings and storms you tonight. Just tell all your lovers to turn the wicks of their lamps high so that I may find you, Oh city, my city of many lights.

Rang hai dil ka mere- Faiz Ahmed Faiz - Narrated by - Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Aug 8, 2020 1:21


tum na aa.e the to har ik chiiz vahī thī ki jo hai āsmāñ hadd-e-nazar rāhguzar rāhguzar (path) shīsha-e-mai shīsha-e-mai (glass of wine) aur ab shīsha-e-mai rāhguzar rañg-e-falak rañg hai dil kā mire ḳhūn-e-jigar (bloody heart) hone tak champa.ī(purple)rañg kabhī rāhat-e-dīdār(pleasant/comfort) kā rañg surma.ī(dark grey) rañg ki hai sā.at-e-bezār (disturbing/disgust) kā rañg zard (pale) pattoñ kā ḳhas-o-ḳhār(fragrance of dried leaves) kā rañg surḳh (red) phūloñ kā dahakte hue gulzār kā rañg zahr kā rañg lahū rañg shab-e-tār(dark night) kā rañg āsmāñ rāhguzar shīsha-e-mai koī bhīgā huā dāman koī dukhtī huī rag koī har lahza badaltā huā ā.īna hai ab jo aa.e ho to Thahro ki koī rañg koī rut koī shai ek jagah par Thahre phir se ik baar har ik chiiz vahī ho ki jo hai āsmāñ hadd-e-nazar rāhguzar rāhguzar shīsha-e-mai shīsha-e-mai

Baat phoolon ki kia karte the

Play Episode Listen Later Aug 5, 2020 0:45


Baat phoolon ki suna karte the Hum kabhi sheer kaha karte the Mashalein le ke tumhare gham ki Hum andheron mein chala karte the Ab kaha aisi tabiyat vale Chot kha kar jo dua karte the Tark-e-ehsaas-e-mohabbat mushkil Haan magar ahl-e-wafa karte the Bikhri bikhri zulfon wale Qafilein rok liya karte the Aaj gulshan mein shagoofe saaghar Shikwah baad e saba karte the

Bekhayali mein yunhi bas ik irada kar liya - Munir Niazi - Narrated by - Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Aug 3, 2020 1:40


be-ḳhayālī meñ yūñhī bas ik irāda kar liyā apne dil ke shauq ko had se ziyāda kar liyā jānte the donoñ ham us ko nibhā sakte nahīñ us ne va.ada kar liyā maiñ ne bhī va.ada kar liyā ġhair se nafrat jo pā lī ḳharch ḳhud par ho ga.ī jitne ham the ham ne ḳhud ko us se aadhā kar liyā shaam ke rañgoñ meñ rakh kar saaf paanī kā gilās āb-e-sāda(plain water) ko harīf-e-rañg-e-bāda(against the colours of wine) kar liyā hijratoñ(separation/migration) kā ḳhauf thā yā pur-kashish kohna maqām (Ancient dwelling) kyā thā jis ko ham ne ḳhud dīvār-e-jāda(wall of path) kar liyā ek aisā shaḳhs bantā jā rahā huuñ maiñ 'munīr' jis ne ḳhud par band husn o jaam o baada (wine) kar liyā

Chandi wale sheeshey wale - Ali Akbar Naatiq - Narrated by - Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Aug 1, 2020 1:21


chāñdī vāle, shīshe vāle, āñkhoñ vaale shahr meñ kho gayā ik shaḳhs mujh se, dekhe-bhāle shahr meñ sard rātoñ kī havā meñ uḌte pattoñ ke masīl kaun tere shab-navardoñ ko sambhāle shahr meñ kāñch kī shāḳhoñ pe laTke terī vahshat ke samar terī vahshat ke samar bhī ham ne paale shahr meñ dil ke reshoñ se ridā-e-nūr bunte miT ga.e shab kī fasloñ meñ nahīñ āsāñ ujāle shahr meñ

Sitaron se aage jahan aur bhi- Allama Iqbal - Narrated by Hira & Abhay

Play Episode Listen Later Jul 27, 2020 0:48


sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñ yahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū par chaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ agar kho gayā ik nasheman to kyā ġham maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jā ki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñ yahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ

Do char gaam raah ko - Nida Fazli - Narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jul 26, 2020 1:32


do chaar gaam raah ko hamvār dekhnā phir har qadam pe ik na.ī dīvār dekhnā āñkhoñ kī raushnī se hai har sañg ā.īna har aa.ine meñ ḳhud ko gunahgār dekhnā har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā maidāñ kī haar jiit to qismat kī baat hai TuuTī hai kis ke haath meñ talvār dekhnā dariyā ke is kināre sitāre bhī phuul bhī dariyā chaḌhā huā ho to us paar dekhnā achchhī nahīñ hai shahr ke rastoñ se dostī āñgan meñ phail jaa.e na bāzār dekhnā

Haal achcha hai- Adeem Hashmi - Narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jul 26, 2020 1:28


rāhat-e-jāñ se to ye dil kā vabāl achchhā hai us ne pūchhā to hai itnā tirā haal achchhā hai maah achchhā hai bahut hī na ye saal achchhā hai phir bhī har ek se kahtā huuñ ki haal achchhā hai tire aane se koī hosh rahe yā na rahe ab talak to tire bīmār kā haal achchhā hai ye bhī mumkin hai tirī baat hī ban jaa.e koī use de de koī achchhī sī misāl achchhā hai daa.eñ ruḳhsār pe ātish kī chamak vaj.h-e-jamāl baa.eñ ruḳhsār kī āġhosh meñ ḳhaal achchhā hai aao phir dil ke samundar kī taraf lauT chaleñ vahī paanī vahī machhlī vahī jaal achchhā hai koī dīnār na dirham na riyāl achchhā hai jo zarūrat meñ ho maujūd vo maal achchhā hai kyuuñ parakhte ho savāloñ se javāboñ ko 'adīm' hoñT achchhe hoñ to samjho ki savāl achchhā hai

Kuch yaad raha kuch bhool gaye - Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jul 24, 2020 2:55


Apne bachpan ke woh kisse kuch yaad rahe kuch bhul gaye Jo kehni thi hazaaron baatein kuch yaad rahi kuch bhul gaye Woh sadko par bhatakna, aur josh josh mein Kahi duur nikal jaana Unn safar ki saari yaadon mein kuch yaad rahi kuch bhul gaye Jo saath hasse aur saath roye Tere kaandhe sarr rakh kar soye doosre period mein apna sandwich niptaake phir break mein dusro ke parathe khaana canteen mein udhaar ki ice-cream leke apni shirt pe pighlaake giraana, Inn khatte meethe ehsaaso mein kuch yaad rha kuch bhool gaye tujhe sabke saamne chidhaake, apna koi fake id se katwana Kam number aane ka rona gaana, Phir izzat ko naa padhne ke bahano talle bachana inn tuuti phooti tasveero mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye Uss teacher ko sirf tujhe hasane Ke liye pareshan karna Phir khoob pitaayi khaana Zabardasti bithai bench partner se Ke saath koniyo ka ittefaaq se chhuna Aur shareer mein ek ajeeb sa current daudna Jab kisi ko beimtehaan iss qadar chaahna Aur umeed haar jaane par phir usi se rakhi bandhwana Dost ko intro karana phir ussi dost ki dosti dekh, jal jaana Inn behki behki gardish mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye Woh ground mein uska chhup ke peechha karna Aamne saamne khade ho kar pyaar se sharmana aur ghabraahat mein kuch bhi anaab shanab badhbadhana Inn mehki mehki baaton mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye. achanak ek vidaai ki shaam aayi Alvida kehne ka jab mauka laayi Har kaam kiya naache aur gaaye Bajayei alvida kehne ke hazaaron waadon ke pul banaaye umr bhar saath bitane ke Jitna bhi aage jaane ke Phir laut ke wapas aane ke Kuch cheekhnein ke chillane ke Yaaro ki yaari nibhaane ke Kuch jaam ke takraane ke Kuch dhuen mein udhaane ke Kuch jeet ke kuch haar ke Zindagi ki baazi maar ke Galle phir se lagg jaa yaar ke. Ye waade ke sahare nikal pade apni duniya banane Inn saare khwabo ke waadon mein Kuch yaad rha kuch bhul gaye

Hum par tumhari chaah ka by Faiz narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jul 23, 2020 1:23


ham par tumhārī chaah kā ilzām hī to hai dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai āḳhir to ek roz karegī nazar vafā vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai bhīgī hai raat 'faiz' ġhazal ibtidā karo vaqt-e-sarod dard kā hañgām hī to hai

Dil ko khayal ae yaar ne makhmur kar dia - Hasrat Mohani narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jul 23, 2020 1:14


dil ko ḳhayāl-e-yār ne maḳhmūr kar diyā sāġhar ko rañg-e-bāda ne pur-nūr kar diyā mānūs ho chalā thā tasallī se hāl-e-dil phir tū ne yaad aa ke ba-dastūr kar diyā gustāḳh-dastiyoñ kā na thā mujh meñ hausla lekin hujūm-e-shauq ne majbūr kar diyā kuchh aisī ho ga.ī hai tere ġham meñ mubtilā goyā kisī ne jaan ko mas.hūr kar diyā betābiyoñ se chhup na sakā mājrā-e-dil āḳhir huzūr-e-yār bhī mazkūr kar diyā ahl-e-nazar ko bhī nazar aayā na rū-e-yār yaañ tak hijāb-e-nūr ne mastūr kar diyā 'hasrat' bahut hai martaba-e-āshiqī buland tujh ko to muft logoñ ne mash.hūr kar diyā

Mehki mehki by Hasrat Jaipuri narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jul 18, 2020 0:35


ye kaun aa ga.ī dil-rubā mahkī mahkī fazā mahkī mahkī havā mahkī mahkī vo āñkhoñ meñ kājal vo bāloñ meñ gajrā hathelī pe us ke hinā mahkī mahkī ḳhudā jaane kis kis kī ye jaan legī vo qātil adā vo qazā mahkī mahkī savere savere mire ghar pe aa.ī ai 'hasrat' vo bād-e-sabā mahkī mahkī

Naya Hukmnama by Jawed Akhtar

Play Episode Listen Later Jul 13, 2020 2:32


Kisi ka hukm hai Saari hawayein Hamesha chalne se pehle batayein Ke unki samt ( direction) kya hai Hawaon ko batana yeh bhi hoga Chalengi jab tto kya raftaar hogi Ke aandhi ki ijazat ab nahi hai Hamari ret ki yeh sab faseelein (ramparts) Ye kagaz ke mahal Jo ban rahe hain Hifazat inki karna hai zaruri Aur aandhi hai purani inki dushman Ye sab hi jaante hain Kisika hukm hai Dariya ki lehren Zara ye sarkashi ( strong headedness) kam kar lein Apni hadd mein thehrein Ubharna phir bikharna Bikhar kar phir ubharna Galat hai unka ye hungama karna Yeh sab hai sirf vehshat ki alamat (signs of insanity) Baghavat ki alamat Baghavat tto nahi bardasht hogi Ye vehshat tto nahi bardasht hogi Agar lehron ko hai dariya mein rehna Tto unko hoga bas chupchap behna Kisika hukm hai Is gulsitaN mein Bas ab ik rang ke hi phool honge Kuch afsar honge Jo ye tai karenge GulistaN kis tarha banna hai kal ka Yaqeenan phool ikrangi tto hongey Magar ye rang hoga kitna gehra kitna halka Ye afsar tai karenge Kisiko ye koi kaise bataye GulistaN mein Kahin bhi phool ikrangi nahi hotey Kabhi ho hi nahi sakte Ki har ik rang mein chupkar Bahut se rang rehte hain Jinhone baagh ikrangi banana chahe thay Unko zara dekho Ke jab ik rang mein sau rang zahir ho gayein hain tto Woh ab kitne pareshaN hain Woh kitne tung ( harassed )rehte hain Kisiko ye koi kaise bataye HawayeiN aur lehreN Kab kisika hukm sunti hain HawayeiN Hakkimon ki mutthiyon mein, hathkadi mein qaidkhano mein Nahi ruktin Yeh lehren roki jaati hain Tto dariya kitna bhi ho pursukoon ( calm) Betaab hota hai Aur is betaabi ka agla qadam Sailab (flood )hota hai. Kisiko ko ye koi kaise bataye

Humesha der kar deta hu by Muneer Niazi

Play Episode Listen Later Jul 13, 2020 1:03


hamesha der kar detā huuñ maiñ har kaam karne meñ zarūrī baat kahnī ho koī va.ada nibhānā ho use āvāz denī ho use vāpas bulānā ho hamesha der kar detā huuñ maiñ madad karnī ho uss yaar kī ya Hosla badhānā ho bahut derīna rastoñ par kisī se milne jaanā ho hamesha der kar detā huuñ maiñ badalte mausamoñ kī sair meñ dil ko lagānā ho kisī ko yaad rakhnā ho kisī ko bhuul jaanā ho hamesha der kar detā huuñ maiñ kisī ko maut se pahle kisī ġham se bachānā ho haqīqat aur thī kuchh us ko jā ke ye batānā ho hamesha der kar detā huuñ maiñ har kaam karne meñ....

Aao ke koi khwab - Sahir Ludhianvi - Narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Jun 25, 2020 1:24


Aao ke koi khwab bun le kal ke waaste, Warna ye raat aaj ke sangeen daur ki Dass legi jaanOdil ko kuch aise ki jaanOdil taa umr phir na koi haseen khwab bun sake. Go hum se bhaagti rhi ye tez-gaam umr Khwabon ki Aasre pe kati hai tamam umr Zulfon ke khwab, hothon ke khwab aur badan ke khwab Maeraj-e-fan ke khwab, kamaal -e-sukhan ke khwab, Tehzeeb-e-zindagi ke faarogh-e-watan ke khwab Zindan ke khwab , koocha-e-daar-o-rasn ke khwab Ye khwab hi toh apne jawani ke paas the Ye khwab hi toh apni amal ke asaas the Ye khwab marr gye hai toh berang hai hayaat Yun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat Aao ke koi khwab bune kal ke vaaste Warna ye raat aaj ke sangeen daur ki Dass legi jaanOdil ko kuch aise ki jaanOdil taa-umr phir na koi hai khwab bun saki

Farsoda Khayal

Play Episode Listen Later Jun 25, 2020 1:16


Cliché thought. Its a story of how one becomes numb to their own drive. (Urdu, Hindi, English)

Roeyey by Abbas Qamar narrated by Abhay Punjabi

Play Episode Listen Later Dec 31, 2019 1:02


First of the series of Shayari narrations.

Claim Kisse aur kahaniya

In order to claim this podcast we'll send an email to with a verification link. Simply click the link and you will be able to edit tags, request a refresh, and other features to take control of your podcast page!

Claim Cancel