Nafas thami hai dhund ke laa, woh chain-o-suqoon ki mast hawa… Nafas - Breath, Dars - Lesson
Umr 12, naam kya pata, mere haathon mein jo roti hai uska dharm lapata..
Mat phook mujhe yu aashiq ki tarah, ek din mujh sa ho jaega, bas raakh bachegi seene main, tera dil dhua ho jaega.
Guhaah hai rona, pochh le aansu, pee ja, dard ko dil mein rehne de, roya agar toh kamzor dikhega, duniya hasegi kya kahegi, chhup hoja, ladke rote nahi…
Mohalle ki Tang galiyon se jo kabhi tang na hua, usko aaj shehr ke chhode raaston ne tang kar diya hai.
Ek din aaya maut hui, mere dard ne jeena chhod diya na bachi mohobbat, aakh khuli uss bedardi ko chhod diya!
Firdaus ki haqiqat hai woh ladki jo meri bike ki peeche wali seat le bethi hai, Ab sawaal yeh hai ki, jannat kashmir hai ya heer...
Zeher pila deti, saala afsos nahi hota, ye tune kya kiya, chal jo kiya so kiya par agar yeh hi karna tha toh, jaan se zyada ishq kyun kiya...
Ek khwahish meri bhi hai, woh duniya dekhna chahta hu jo inn logo ne dekhi hai, ghalib, faiz , rumi ki duniya... Song - Leo Twins (Lambi Judaai)
Woh door mehal mein rehti hai, main satt ke zameen se sota hu...
I choose to love you in silence… For in silence I find no rejection, I choose to love you in loneliness… For in loneliness no one owns you but me, I choose to adore you from a distance… For distance will shield me from pain, I choose to kiss you in the wind… For the wind is gentler than my lips, I choose to hold you in my dreams… For in my dreams, you have no end. - Rumi
Aur suna, tu bada pareshaan lag raha hai aaj. Kya baat hai?
Ruhani sa ek khwaab dekha hai maine, usse kisi aur ke saath aabaad dekha hai maine, ab yeh na puchna main kaisa hu, uss khwaab mein khud ko barbaad dekha hai maine...
जिस्म तेरा एक अब्र सा, छू लू तो सब धुआँ जिस्म तेरा एक आग सा, ना छूऊ तो भी धुआँ | धुए में इत्र सी महकती तू, गर बुझा दू तुझे तो खैर मेरी | एक क़यामत होगी रू-ब-रू, गर फिर से जल गयी आह तेरी |
Bekaar ki baatein karta hu, main paagal hu, bas pyaar ki baatein karta hu.
कबीर कुत्ता राम का, मुतिया मेरा नाऊँ। गलै राम की जेवड़ी, जित खैंचे तित जाऊँ॥ - कबीर
Yeh aauraton mein tawaif toh dhund lete hai, tawaifon mein inhe aauratein nahi milti. - Meena Naqvi
Woh Pakistan main rehti hai, aur main Hindustan mein, humaare darmiyaan bas dooriyan hai aur, ye jhelum..
Baarish ki kahaaniyan to baht suni hongi, par kya wo kahaani suni hai jo baarish ke aa jaane se khatam ho gayi?
Tere Khud ke bheetar chhupa hu mein, tu khoj sake toh khoj le, ye duniya teri dost sahi par ye duniya teri dost nahi.
FITRAT MAIN THA MERI DHOKHA DENA, TUJHE KAISE CHHOD DETA, MERE PYAAR PE ITNA BHAROSA THA TOH MUJHE AAZMAAYA KYUN?
Uske ek deedar ki khaatir hum har waqt taak mein rehte the, wo baat alag thi ke uska har baar na aana tay tha aur humaara har baar intezaar karna laazmi...
Ab ye jo raat thi na, aisi raatein baar baar nahi aati, aur bhagwaan kare kisi ki zindagi mein aisi raatein na aaye.
Agar kisi kahaani ki ant se shuruwat hoti to shuruwat mein hi ant ho jaata, ab batao ant kya hai aur shuruwat kya?
Insaaniyat hai par insaan kahan hai? Mandir pe taale lage hai, bhagwaan kahan hai?
Agar aaj ke baad maine kabhi mudd ke tujhe dekh liya na, to maine tujhse mohobbat kahi ki hi nahi thi.
Qatl hua tha, usse kya pata, tum soch rahe hoge bas kehne ko keh raha hu, tumhe kya pata...
"Kuch saal pehle, once upon a time, chhod na yaar baht lambi kahaani hai"
Wo bhi roya hoga kya, jab jab main roya tha? In do shabdon se dosti kar li thi jab tujhe khoya tha...
Keh diya jo kehna tha par.... Ye baat bhi adhuri reh gayi, meri aakhon se teri aakhon tak ek nazar ka faasla tha, phir bhi dekho kitni doori reh gayi.