Duniya rangeen hai rang jaise anek, nazariya mera ek,sunn rakh thora vivek...jan-ne ko milega is duniye ke awshesh...zara mere nazariya thora dekh...(sunn)
LYRICS= Nihar lene de, Iss waqt ko sanghar lene de, Mann thora bahar kar lene de, Shorr me shabd, Izhaar kar lene de, Khud ko kaabil bann lene de, Khud haasil kar lene de, Aamil aayato ke mukabil mahir ho lene de, Mustakbil(aane wala) कल Maahar(lucky)kar lene de, Mukhalme(kahani)aajma lene de, Raazda{king} bann lene de, Bikhre pal aaj falhaar kar lene de, Prakhar prakop sah lene de, Tayohar sare sadabahar kar lena de, Bachi hasrate bigad lene de, Thora Nihar lene de, Hara hu, Khud ko sambhal lene de...
LYRICS=Andhera raha aur manzil durr nahi, आंखें laal karke chal raha mai abhi, Aj bhi raat wahi baat wahi, Niklu raste pee dhundne aukat meri, Manzil kahti durr mai nahi, Aur lagta sab jaisa baate kahi, Rahti aib me aur thora nuske maine sahi, Uske baate kahi, Bann thora sarfira ghum mere peeche, Milti mai tabhi, Sawera saheje dopehar ne nakara jabbhi, Aur Bhookha mai shaam se, Ghar se nikla kaam se, Bhrne the kharche kuch daam se, Aur kya kya jodu iss naam pe, Baitha कम socha naa aaram se, छाले pade होंठ suje ab ye dard de, Sochta Ab ye bahot hue, Par khada rahana hai khud ke mukam pe, Buso ke seat se civic ki chaath pe, Zayda chalke, Dil se halke, Baith-te na aaram se, Andhera kaali aankhe laal karke, Ghumta apne saher Anjan hoke, Bigadte log aur bigadte yeh sadke, Kaisa yeh saher, Roti thoda aur lena hai लड़ के, Madhosh ye ladke aur madhosi kaam ke, Yeh saher apna Maher aur rahte naa aaram se.
LYRICS=Jab mahaul mila ghul mil gaye, Apna samajh khul mil gaye, Dard itna mila छील dil gaye, Mujhe safar me चोटें lagi kafi, Magar waqt ke saath jakham khud sil gaye, Aur yah dil yu jo na phir khil gaye, Aur thora jo Khanabadosh(na thorr thikana), Khogaye hosh, Sarphira ya Sarfarosh, Ya kalam ka dosh, Kisme kitna Josh, (Mann itna khamosh) Na pada rah tu itna khamosh, Iss zamane me jo pada Zamana (badi) barbara(Downfall), Lafzo me yaha bhara padi zaher bada, Machi padi yaha khal bali, Lana hai khud ko bartari(High quality), Khud samandar me lahar badi, Aur khud lad banana hai kismat badi , Aur na rakh yaha dil badi, Is zamane me kai dafa tut kar hi banti badi, Aur silsila bann chalti rahti...
LYRICS=Kaandhe mere bhaari, Jimmedaari karni poori thi, Saamajhdaari mazboori thi, Lafz mere aur kithabh jo adhoori thi, Chorra ghar baar aur kismat hi na zaroori thi, Kasuri meri ya Muflis(garibi) jaise mazboori thi, Aur bhool jao kaise tujhe, Roshini aur andheri thi, Roshini Jahan sa iss saher me, Aur Viran sa pada raha mai makan me, Khandar sa bezubaan me, Waqt jo imtiyahaan aur darmiyaan me, Toot-te assiyann me, Ladta waqt aur kasuri jo giribaan me, Aadat saadat aur masoori sam-maan me, Viran jahan aur masoori ke moll me, Ghar baar se thora durr anmol waqt me, Kaandhe thandhe the, Thake aur kahte rahne de, Guma mann aur usse jane de, Aasan baate jo kahe the, Par basii aadate ko kaise bahne de, Kahi baate bhi na sahne the, Der sawer din mahine, Yaadein ka kya kahne the, Bhule na bhule the, Khanabadosh bann mann bhatke the, Sarfira madhosh jo mann mere the, Kandhe mere bhari the, Aur zimmedari bhare the...
LYRICS=Chalo aj Zindagi ki baat karte hai, Gandagi chorr, Zindagi ki morr par mile the, Apna samajh jo khile the, Bandishe aur gile sikwe jo apne the, Zindagi apne aur sapne kya kahne the, Bandagi zindagi ke rang degaye, Aur sapne apne, Karwate Zindagi ke aur numayne apne the, Par kamane kuch rupiye the, Aur hum na kuch kahe the, Zaroorate jo apne badhe the, Aur bigadte waqt par ade the, Bate na samajh lade the, Waqt se peeche chale the, Neeche kheechte aasaman jo the, Aur jameen pe ude the, Kahte kuch aur sunte kuch the, Wo zindagi ke morr the, Mile the phir milenge kisi chorr par, Tab yu baate kar, Kat jayege woh pal haskar, Aur shaam dhalkar, Ginnege wo sitare muskurakar, Aur iss choti si zindagi, Me bade kaam kar, Aayenge wo pal, Jab lenge karwate aaram kar, Aur thora haskar thora rokar, Apni silsile gaakar, Chalte chalenge safar par...
LYRICS=Raat sari der raat baitha sochta raha, Khud apne aap ko khojta raha, Mujhe lagta sunta mujhe koi nahi, Panno me bhar ta raha sara jo kah raha, Khoya khud me hu, Aise na khoj tu, Milta na mai hu, Bas apne lafzo ke dariya me bahta hu, Doobta hu, Tayrta hu manzil ke orr, Nazar saaf rakh, Parr raste ye dhua dhua, Ankhe namb aur bhare kuwa, Yu raat kafi na soye, Hum apne sage(सगे) se bhi lade, Khwabo ko samet chalte bane, Manzil ki orr rakh musafir ka chorr, Aur thora sa sarphira, khwahiso se muh mora(मोड़ा), Ajnabi dastaan sa rakh jahan apna, Ek sapna sahejta aur der raat jagta, Manzil saaf par rasta kohra, Aur apne khwabo ka mohra, Dekh mai chal raha, Andhere me taaro ke tarah ubhar raha, Raat derr raat baithe soch raha, Apne aap ko khoj raha, Mai chal raha...
LYRICS=Akela raat ke chaar baje, Zahen me saawal bhare, Ghum raha darbadar, dilo me haazar wahem bhare, Haath khali raat kaali, Upar se ye sarr bhari, Aur thora sa ye yaad bhare, Kal ki yah baat khare, Baat jo the kai saare, Ek ek karke jo aarahe, Kaale andhere, Dheere dheere yu sata rahe, Khafa jo ateet se Zahen mere, Na jane kitne ye raat jage, Ab darr lagta roshini sar sawere, Yu yeh raat bhare, Ab naa taare jagte, Na neende aate, Khwab kafi saare, Ek ek kar sata rahe, Na jata paa rahe, Aur wo jaa rahe, Akele aj raat ke chaar baje, Alfaz mere dard bhare, Arzj kar rahe, Na soch tu re, Dard hai marz, Marzi ya aarzi tere, Zaher jab chaar baje, Ab baithe na soch re, Mann me sawal bhare, Aur kaise yeh Izhaar kare, Ya samajhdaar bann sawera ka intizaar kare...
LYRICS=Haatho ki lakir mita, Kagaz ki kasti bana, gaahre paani me chal diya, Meethi baato me zaher ghol diya, Lafzo se Kalam ko baha diya, Waqt kitna naadani me yaha kho diya, Gumm itna khud mard hokar roo diya, Logg kafi chalte saath par saath ka koi nahi, Hai baate kai, Par bharosa kisi(किसी)ke baat ka nahi, Zindagi hai yaha khilona nahi, Har chamakti cheez yaha sona nahi, Aur Iss baat ka tu rona nahi, Qaid apni soch me, aur khud Ko yaha khona nahi, Jo gayrr bane, unka apna Hona nahi, Bate कही Kaisi yeh bebasi, Kismat hai जो आज hasi, Na dilruba जैसी, Jab maut aati khel padi rahti jaisi taysi, Aur kagaz hai koi khilaona nahi, Kashti bana ya dil se laga, Yeh sasti nahi, Kismat ke saiyee pe sona nahi, Aur apne falsafe pe hasna nahi, Kismat ke lakir ke bharose baithna nahi, Mehnat ki zanzeer me bandhna sahi, Logg dikhege kai, Unke dilase me khona nahi, Apni kismat ki lakir mita, Iss mahnet ke dagar par, fakir bann chalna nahi, Taqdeer apna khud likhna sahi...
LYRICS=Jhoote dilase, Mat de aise, Laga kaiyase, Matlabi zara se, Manzar yah kaise, Samundar jaise, Bawandar bante, Andar khandar aise, Aadambar yah kaise, Kaam bhar hi rahte, Jhoote dilase, Jhoote ye Haase, Khoti tha-hase, Ummide na jage, Mann bhage, Jann(जन) kai saathe, Par saath ke naa naate, Bilawaje kasme na khate, Jhoot ki naa baate, Sach ka saboot jo maangte, Dete wo jhooti dilase, Bandd wo apni soch ki salakhein, Na jataye paye andar hi andar ghootein, Jhooti dilase, Mat de aise aashe...
LYRICS=Umrr 7, Bekhabar kal aur apne kaal, Chala wo rakh apni chaal, Chota kad aur theek rakh wo apna haal, Peeth par bag ko bana dhaal, Tha woh apni maa ka laal, Maa ki dua aankhon me sambhaal, Aur padhne chala woh school, Rakh halki chaal, Garibi ka bura haal, Papa the bahar salo saal, Aur pai pai sambhaal, Bhejte saalo saal, Maa baap dekhe na school, Par dete padhai ki misaal, Padh mere laal, Aur wo gaya school, Rakh bebak apni chaal, Din kat wo padhta, Khoya kuch apne khayal, Umrr choti aur padhai jaisa जाल, Janjaal lag Padhai aata usko kuch aadha hi, Maya lagta bate jo kahi, Idhar udhar ka dhyan aata zayda hi, Aur wah choti umrr sikhata kaida nahi, Aisa waisa kaiyoo ki batee kahi gayi, Wo umrr 7, Log 8, Unki baate anek jaisa 60, Khoya woh khud aur aata-haas, Khel kood ka jayda hi aihsas, Padhai ka kara prayas, Par umrr choti, Niyat na khoti, Masum chahra, Sahra karta wo aaina, Uske aks ka wo muwayna, Baate jo uski kahi na, Aur doosro ki baate wo samjha na, Wo choti si umar, Bebak Samajh ka kadar, Aur sahi galat ka antar na kar, Bas seekhkar rahta wo datkar, School jakar padhkar, Aur apne soch me, Thoda khokar thoda haskar, Masumiyat bikher, Apni umrr me dhalkar....
LYRICS=Jivan muskurati bedardi ki tarah, Aur aashayein na hasti uss jagah, Agar jivan chal de apne marzi ke tarah, Toh khusnumaan jivan hasti sada, Par jivan hai ek khel yaha, Kuch pal ka Mel yaha, Mile na milta yeh kal yaha, Aur kal talta jo karte kal yaha, Kabhi mai toh kabhi tum yaha, Kabhi tum toh kabhi mai jo gumm, Apne duniya me yaha, Jivan(EK) hai jo mila, Aur mann baithaye rahte wo na khila, Jivan sikhati yaha yahi silsila, Aur badalti jivan dhayra rakhne, Ka sikhati kala, Phalan(kisi ke bhi) ki baato me samay jo chala, Tab chintit kyu bhala, Samay rahte jo tu na sambhala, Tab jivan muskurati phir bedardi ki tarah, Chuppi saadhti aur chalti musafir ki tarah, Aur musafir tut-te mann se roz is tarah, Jaise tut-te taare Swarg se jis tarah, Khusnumaan khwahishe khojte log, Aur banjate ek aur mushafir iss tarah, Mashire(Happiness) apne dhunnte, Aur Ginnte din yaha jis tarah, Samay seemit aur kaam anek dhara, Seekh ka jivan aur sikayate jo hai bhara, Khusnumaan jivan aur na bedardi rakh khara, Yah jivan apne aur na kho ban sapne ki tarah,
LYRICS= Ek shabd kahna tha, Atta Haas(loudly) hasna tha, Sahna kuch shabd tha, Apsabdo ka na armaan tha, Nishabd jo jubaan tha, Chupana kuch na tha, Sabkuch jo sukh tha, Ab mukh kuch rookh tha, Ek tuk jo na dikh tha, Kya pata yah seekh tha, Bheet(close) na meet(मीत) tha, Yah reet na geet tha, Sameep bann,ab wo ateet tha, Ek shabd na bak jo seekh tha, Aj bhale hi ikkis(21) tha, Wayarth naa seekh tha, Ek shabd jo kahna tha, Kosna bhi tha, Nazariya mera bana dekhna tha, Seekhana kuch nazariye jo mera tha, Shabd aneko Ginn, Atta Haas hasna tha, Shabd jo mera tha, Badbhakt(miserable) waqt tha, Beshak(unquestionably) shabd satya tha, Aur kathyaa jo kahna tha, Aur bina kahe kuch sahna tha...
LYRICS=Haath tha sar pe, Aihsas tha na kab se, Bezubaan aur naasamajh tha jab se, Muskurata tha hass ke, Jab haath phirti thi sarr pe, Woh nikle jo saher the, Aur baitha tha mai ghar pe, Saher jo kaher de, Par beta tha ghar pe, Rupiye thore jo the jeb me, Par haare na the, Bhale chaath na ho sar pe, Soye the footo pe kuch kast sah, Aur acchi cheeze la ghar pe beta hass de, Papa jo aaye the, Sang khusiya laye the, Aur din ki kast sah woh muskura aaye the, Apni bhook chura roti apni khilaye the, Aur bhook meri mita kahte, Beta tu khata kyu kam itna, Bada hoga khayega jitna, Aur bhook rakh wo adhoora apna, Sapna woh din the, Kuch haath sahra apni kandho pe sulaye the, Cycle pe jo bitha ghumaye the, Aur raat raat na soo chup chap jo roye the, Mere sapno ke liye khoye the, Aur thora jo, Bete ke liye jo lade the, Meri baato ko apna bana ade the, Duniya ka na sune the, Kahte unka kaam hai kahna, Karna jo tera mann kahta hai na, Peeche mai khada hu, Phir chinta tujhe kyu karna, Papa mera kya kahna, Kapde na naye pahente, Par bete ko naya kapde, Tayohar par hamesha dete, Papa mere sapne apse, Aur ayyana(mirror) mai apka, Sada muskurate, Ap rahe aur muskura mai dunga bina kahe...
LYRICS= Ek waqt tha, Betuka zuban tha, Ek waqt tha Satata na waqt tha, Ek waqt tha Na gamm waqt ka tha, Ek waqt tha jab waqt kam na tha, Ek waqt tha Sota sahej se waqt par tha, Jagta aur waqt wafadaar tha, Ajj Betuka na zaban tha, Kurbaan jo waqt tha, Soch ka waqt kharish tha, Na zikr zari waqt ka tha, Aj waqt bewaqt dikhta sakt tha, Waqt na waqt de raha, Aur kahte dikhta hai tu na, Gaya hai tu kaha, Khoje milta na tu jaha taha, Milne me bhale hua derr, Khair Yu bit-ti yah sama, Par durr na mai yaha, Sochta hoon aur kuch Saha, Waqt dar waqt chalte chala, Bina kahe kaha, Mazboor jo waqt se, Waqt par bate mashoor ye, Waqt dar waqt Badalta zaroor yeh, Aur lagta na derr yeh, Yahi kudrat ka jo sab kahe, Milenge phir jab waqt-waqt de, Kuch mere kuch apne gumm yu sahe, Aur zikr kar yeh waqt apne Kate, Betuke zubaan apne par kurbaan waqt yeh, Aur yah apne saath chalte chale ...
LYRICS=Udhaar ka yah jivan, Khuddar(honest) aisa mann, Sudhaar ka jo swapn, Jimmedar jabse janm, MEHNATI tann, Aakros ki baate jo sunn, Khari khoti ki aadat bann dhunn, Apni hi soch me gumm, Soch jaisa sach, Sunna hoti naa kharch, Bann dawa ya marz(ailment), Sach se satark, Mera farz, Naam dhara aur aarz, Aarz se aarzoo(desire,wish), Udhaar taulata rakh taarazoo(weigh), Jaisa bazaar aur sarai(rest) yuu, Khusiyan thora jo kharidta huu, Mann ko sikha tayaag huu, Mitaa jo kuch yaadein huu, Sahejta bit te pal jo huu, Sikhata khudd, Aur khudd samajhdaar hota huu, Kirdaar wafadaar apno ka huu, Sapne sahrata aur rakha kuch udhar yu, Uddhar iss udhar se ugrr, Khayalat jo sirf suddhar, Aj ya kal is pal se uddhar, Aur sapno ko palko se sahej, Soou palke jhapka, Rakh mahej waqt ek, Udhar se farzdaar, Karm se karmdaar, Chuka is udhar, Aur jivan bann Sridhar(divine one)...
LYRICS=Kalam, Jab kamaan(order) de yah kalam, Likh Alfazo ka sitam, Katl karti yah kalam, De kai sare jakhm, Baate khatm, Chalti yah kalam, Mit-ti yah गम, Rame jisme tum aur hum, Toh sunn, Yah kalam ki sitam, Sabde likh jo bann madhyam, Jodte mann, Sach jo hai satyam, Likhti yah kalam, Apne lekhak ka mann, Rakh thoda sayyam, Padhte kai Jan, Laga apna mann, Kalam se swapn, Swapn se mann, Mann se marjj, Marjj khud se khudgarz, Khudgarz se garaz, Bana naam iss kalam ka bann awaam, Ya kalam se Kalam, Jise poochegi jahan...
Zaroorat jo madad ki thi, Qurbat(estimated) toh meri soorat ki, Jaise moorat rakh dekhte toorat(turant hi-subah se), Khoobsurat soorat jaisa Suraj, Uugta dekh kahte, Wah nakasi upar wale ki, Khoobsoorti teri meri ankhon me basi, Jaisi ugta din khoobsurat badi, Jab soorat naa rahi, Tab fitrat badli, Din laga dhali, Aur log rahe naa kuch asli, Kahte dikhta tha tu kyu jaali, Soorat naa par phitrat teri kaali, Saheja jise phool bana maali, Aankhon mein soorat jo thi saambhali, Bit-te waqt aur mai rakhwali, Madhosi matwali, Soorat sada hai zaali, Parakhna maan dikhta jo na, Nazre hazaro daali, Maan Chupaye ghumte yaha sab, Dikha soorat rutbe waali, Aur dhokhe milte, Nazre do tuk sambhalte, Raste phir sambhaal kar chalte, Umrr dhalte, Kuch din jo khalte, Madad ka assrit tab na rahte, Apne mann ki kaaman sunte, Kaamnao ka zikr na karte, Apne zikr me khud kalam chalate, Kuch seekh kuch sikha, Soorat ki mast hawa me na baha, Aur chalte chala, Jahan Ka na khatma, Jaha payr dhara waha 7we aasman, Jahan mann laga wo bana assiyan, Madad ka na jikr ek sabd, Bas chlna ho Nishabd ..
LYRICS= Vichitra abhilasha ka abhiwaqt= No time for bizarre expression,zindagi hai asal na ek real=Life's not a footage for retakes, Patthar ki meeal =Milestone...
LYRICS= Ji yaa marr... Kar jeete ji kuch kar, Khafa naa rah khud par, Naa samajh toh dusro se seekh, Aur bol usko sir, Sar laga khud ka, Aur kuch kar ke dhar, Sikhkar, Samajhkar, Sikhakar, Samjhakar, Bann thora teez tar-raar, Yaa dheet bann kar, Stithi suwikaar, Ya stithi sudhar, Jo tere haath, Tab jeet ka haar, Aur jivan falhaar(fruitful), Aur damdaar teri salah, Sametenge logg samajh teri kala, Aur teri seekh se jo chala, Wo phala fula, Aur badhta tera silsila, Machla maan, Aur dara agar, Toh zara tha-har, Jhakkar dekh, Kami kidhar, Sudhar aur jeete ji kuch kar, Samay geena hua, Aur paristhiti kisi ka naa ek jaisa thama hua, Naa koi yaha chuna hua, Mauke sab ko mila yaha, Bina jo kahe kaha, Aur ghuma tu jaha taha, Samay kat-ta raha, Jeena aur marna yaha, Par jeete ji naa kuch kiya, Toh jivan na rona dhona, Kahe na sikhna?, Chahe Na Karna, Kya marna?, Jeene ki chaah rakhna, Bada kaam tujhe hai jo karna...
LYRICS=Maa ki haath ki roti, Ajj sambhal rakhi thi, Jo thi do din ki, Sukhi,baasi,subah ki ubashi, Swaad ki sabashi, Har niwale ki, Nasib wala, Kismat meri, Roti ghar ki, Maa ki hatho ki, Naa hisab ki, Bhar pet jo thi, Khai thi abhi, Nasha sa chane jo laga, Gumaa mera astitwa, Jab khoj chao maa ke anchal tabhi, Sukhmai chao, Maa ki anchal ki, Thappad-thapki, Roti-choti, Niwala sukoon ki, Loriyan sahejta pal-pal ki, Jo suni thi, Aur siski jo unki godd me bhari thi, Sahrati sar aur duniya jo meri, Aaj hua bada aur khusiyan jo sang thahri, Bann jaisa chawi, Aur likh ankit karta mai, Jaisa kawi, Roti maa ki haath ki...
LYRICS= Galtiyan, Galtiyon ka aadhar kya tha? Aadhar na pahchan ka, Jab galat tab pata hua, Galtiyan kiya aur woh bana sudhar ka zariya, Nazariya badle yah galtiyan, Aur pare na iss-se koi yaha, Galtiyan kar koi jayega kaha, Bigadne aur sudharna bhi yaha, Sudhre aur galat samjhe gaye phir agar, Toh Fikar na kar, Sambhalkar chal, Khud ka hitaysi hokar, Kuch sikhkar, Kuch sikhakar, Apne galtiyon aur gumaan ko bhulakar, Tabhi badhkar bada hota insaan, Jise puchti jahaan, Mit-ta nahi uska nishan, Galtiyon ki seekh phir galat na rahta insaan, Na sunsaan uska imaan, Sirf udta wo satwe aasmaan, Sirf uchi chadhan jaisa vimaan, Tab seekh ka na rakh abhimaan, Badhte udte girte padte, Apne Galtiyon se khud sikhte... Chalte aur sirf udaan bharte... Aur galtiyan na karte ...
LYRICS=Mera saher me, Ghuma thora ho aj matlabi, Yeh galiyan jo thi pahle ki, Raaste galiyaan hai mera sahar, Aj bimarai bana yaha jaher, Aur beeta jo yass ka paher, Baadal Barsha jaisa kahaer, Bana gaya galiyan nahar, Aur chalti zindagi kuch tha-er, Log kahenge yeh karma ka kaher, Ya prakriti ki aapda ka jaher, Par zindagi gayi hai kuch thaher, Na chaath aur nange payrr, Kitne jo yaha mere saher, Jo hai footo par thaher, Aur rozmarra ki jivan gayi bikher, Sahme mazboor Mazdoor jo nange payr, Chale ghar ki orr na kahi tha-her, Aur rog badha yaha har pahar, Aur dawai bani jaisi Maher(too imp), Saath ka kaher, Swaas na ho toh jaher, Oxygen ki zaroorat sarwopaher, Yeh galiyan jo thi pahle ki, Na rahi abhi pahle jaisi, Pucha haal tu kaisi?, Illaj kara sab yaha, Aur haalat jaisi taysi, Kya karma pyasi? Ya prakriti ki aapada thaha-si?, Pata na par rog aapada fayla, Teez jaisi speed paar nawaasi(89), Ghuma apne saher me ho thora jo matlabi, Thora chinta ka kysi(jiggyasu), Yeh saher aur galiya meri , aur yaha ka jo mai niwasi...
LYRICS= Tujhe mai kaise mai batau, Waitha(pain) meri yah sata yu, Maa meri, Khaya na tha mai yu, Jo bichda pardesh me aj hu, Bit-ti na raat yu, Godd me varsho se soya na mai aaj yu, Daant aur hasi teri dono yaad yu, Bhoola na mai ek bhi din raat yu, Bitaya tere ek saath maa yu, Pyaar tera ek tarfa tha maa mere liye, Aur khudra maan jo mera yu, Sudhra na yu, Dhundta chala pyaar bahar kyu?, Thokar mila dhikkar yu, Aur maa tu mujhse ruthi naa yu, Mera beta hai tu, Kahti aur galtiyan sudharti tu, Maa meri, Badappan ki galtiyan ko bachkani samajh, Samjhati aur chupati yu, Jaisa beeta na kuch yu, Aur puchti naa, Aisa kiya tu kyu?, Meri maa,chinta me yu, Rahu ghar ya pardesh, Puch khana khaya hai tu? Aur sahmi jab kharab, Meri tabiyat yu, Maa dekh tera beta ruth-ta na yu, Parchhayi jo meri tu aur bana tujhse hu, Meri maa, Meri jo umrr tu, Sada khush rahna tu...
LYRICS=Sawan samete Pawan udhede, Ritu jo varsha ki umrre, Adhedd mann sawan me simte, Baadal umad umad jo aj ghire, Aur andhera mann ko simte, Baadal barse barse jaise nahre, Rim jhim yah sawan hai re, aur parasparik(ek jaisa) maan geet gaata ho magn(doob jana), Bach bachate chipte logg, Par yah din nahi aghnn(not September but monsoon), Aur wighnn(harsh, difficult) grishm(summer,heat), Durr karta saawan swaym(khud se), Aur maan karta pratyn(koshish), Rim jhim ho jau is sawan me magn, Bhool wade aur kasm, Yah sawan jo saalo saal ki rasm(ritual type), Bas ho jau isme magnn, Bann khud sawan ke sang, Dhala khud ka raang, Is sawan ke mausam...
LYRICS=Maan, Mai baitha tha, Na jane kis kone me rutha tha, Anutha na mera waitha tha, Na maine kisi ko bataya tha, Na kisi ne sataya tha, Waitha(pain) na sikhaya,samjhaya hua tha, Aap hi aaya,aap hi samajh gaya, Aur chintit ho us pal me khoya, Thora jo roya, Aur ruwasa ruhh sahma sa rah gaya, Chinta me dooba haya(sharm) aur sab maya, Kuch samajh me na aaya, Aur baitha khud jaisa maan tha, Khatm na gaam tha, Sikha maan ko raha, Rah na magn waitha me bhara, Yah duniya badi aur bhale rah kuch khara, Sahma adhmara maan baitha tu na rah, Chal uthh rakh jitne ki chah, Aur yah duniya jhukegi teri rah, Khatma na yah, Bas jitne ki chah, Tab maan tayrta rah saatwe aasman, Aur sama rahti na parwan, Baitha maan tu rah na rawa, Ruthne ka samay nahi yaha, Aur chalte ja bina kahe kaha...
LYRICS= Aj mann ki vibe ho chali thi slow, Raat ke baje the do, Padhne me mann nahi laga tha jo,yah padhai, Sabd teen hi, Badi matlabi, Rahti saath tabhi jab naa di dhilayi, Mann uchat-ta padhai se, Jab di gayi dhilayi, Yah hai soch ki sikhayi, Padh mere bhai, Yah Kalam ki likahyi, Mahnet ki rupayi(sowing), Sradha ki sicchayi, Jivan faldayak ki katayi, Jivan badalne ki anujayi, Na baan harjayi(awara), Raat din ek ka ikai, Sawera aur shaam bhi samajh na aayi, Ekarg mann ki gayi padhai, Padh mere bhai, छूएगा tab ucchayi, Khatm karega samaj ki burayi, Yah sabd teen hi, Badi matlabi, Rahti saath jab na di dhilayi, Padh mere bhai...
LYRICS= Mere saher ki dhun sunn, rah na yu gumm-summ Kahti meri baat sunn, Agar bichede ho tum, Toh aaja mere dhunn me ho gumm, Rahti na mai yu gumm-summ, Aur yaha ke log harsh(joy) purnn, Jo meri dhunn sunn Chalte jate,Sahejete haaste, Shaam dhalte, subere hote, rangeen raate hote, Geet jo mera hi gaate, ilm ko yaha sab sahejte, Na udhaar khate, Sahra(jadu) me se sab bahte, Rawaiyan(behaviourial attributes)badi rakhte, Hasmukh sabhi rahte, Choti choti khusiyan sajate, Meethi jo baatein hote, Aur city of joy jo kahlatein...
LYRICS= Darna mat, हौसला रख aur tu ban nidar, Darr se मन jata hai maar, Seekh mile mujhe jo mujhe idhar, Maa bolti beta tu ban nidar, इसे पार kar tabhi jeet hai idhar, Aur hausle ko tu khojta iidhar, Jab hai tere pass jeetne ka jigar, Jhukegi ki yeh duniya, Likh teri kahaniya, Jab chorr tu fiqar aur ban tu nidar, Chalta ja kinara dhund apna, Tabhi milegi tujhe sikhar, Uchi chadhan wale, Udna hai tujhe upar, Niche tu dekhta kya idhar, Aur Niche gira toh, Phir chadh sikhar hai upar, Nidar wale, karte nahi apsabdo ka fiqar, Rusne ka time nahi unko idhar, Wo chalte, Mast hati ki chal, Sirf khud ko sambhal, Pare maya ke jaal, Aur Beet-te saal, Woh bante khud missal, Dekh jise yaad rakhte sab salo saal, Rakh nidar rahne ki khabar, Kuch bikhar kar, Kuch sudhar kar, Jigar me josh jalakar, Chakravyuh me na par kar, आडंबरों se badhkar, Na kismat ki dagar, Khud Bharosa kar, Bas bann nidar...
LYRICS=Matha(mind) rakh apna jo chala tha, Matha jo taraf ek tha, Raaste anek, Par raaste chala ek tha, Kaatein ek na aneko mila, Kabhi aapa khoya, KaBhi apne ap, Aur samay kuch yu guzarta gaye, Guzarta samay kuch sikha jo gaya, Seekh tha par bichad waqt gaya, Aur gumsum sa saaya chaaya, Aur gahri saaye me baitha maan samaya, Gujarte waqt se ruth-ta mann aur sahem-ti kaya, Pal bhar ka dhayra,pal bhar ka chhaya, Aur Yeh waqt guzar jayega aur yah pal, Milega na beeta hua pal aur kal, Beeta waqt kahta sambhal kar chal, Duniya gol aur har pal ka hai hal, Aur jaisa tu bota waisa pata phal, Gahri raat kitni bhi ho, Aata zaroor subah ka pal, Aur aaja zara sambhal ke yaha chal, Falsafe ka na milta phal, Bachkani falsaafe ke awsheshe, Guzarte sambhlte bigadte dhalte, badhte bade hote, Chorte chalte jate... Waqt bit-te apne, Matha ek jo rakh apna chalte jate...
LYRICS=Kaano me abhi bhi sunayi deti hai woh sorr, Shorr jo bajj abhi bhi jorr jorr, Suna tha ek baar, Aur chal pada tha usi orr, Laga yahi hai chorr, Waqt ka tha jorr, Aur kismat ki sunayi na di shorr, Patki iss gali ki or morr, Aur kuch wadein torr, Khel aisa tha, Tha kuch na shoor, Kara Dhwasth aur raakh aag sa khaak, Khel dekha na kabhi aisa aag sa sahaj, Gurur wayarth tha aur lapete aag ne kara raakh, Shoor abhi bhi sunayi di, Jaise doobti saanse na thahri, Aur binn saase wo lau jo pharki, Phalak tak woh rah na simati, Aur kaano me guunj woh na akhari, Saheje mujhe woh shorr baar baar, Aur kaano me guunj-ti, Shorr aisa tha guunj jo baar baar tha, Sunn baar baar aihsaas jo mera tha, Suun-tha aur dhundta chala is shorr ki chorr...
LYRICS=Mai theek hu, Cheeze gujarte aur bana dheet hu, Baate aneko ko jo lagta unki sahi, Bhale hi ho matlabi, Sunai mujhe jo di, Aur thora chauka jo gayi, Par mai theek hu, Apni kahawate ko bana apna geet hu, Chalta raaste nazariya rakh theek hu, Parakhta nahi hu, Rakhta parr hu, Udaan uchi jo bharni, Mai theek hu, Pal me bigadta pal me sambhalta hu, Aakros jayda bhi rakhta, Dharya aagreem bhi sahejta, Sourya ka pratik mann ko jo bana seekh, Mai theek hu, Bachkani awsheshe ka adhir hu, Sukh ka Sudhir(चाह) hu,Mann se aamir hu,Shanti ka sudirg(jayda चाह) hu, Mai theek hu, Derr hu, Durust hu, Drast nahi, Mai theek hu...
LYRICS= Roti ki taalash me yu bhatakta raha, Darbadar yu ghumta raha, Kast jo aneko bahar raha, Aur thora majboor jo raha, Waqt do waqt jo bhook de rha, Aur shant mann kitna rakha, Thora bhook tu sah le zara,par mann adhmara,aur din do gujra,Bhook lagi zayda jara, Aur nikla bahar phir thora, Dhoop ka aihsas na hua zayda zara, Naa chao ki thandak me thahra, Barish me bheega zara, Aur kiya aandhi ka saamna rakh payr dhara, Kahe kuch mann zara, Ghar me kyun nahi baith-te thora, Khada mai muskura, Sudha(bhook) ki jalan ka tha adhmara, Sujha zayda na zara, Aur baatein mann se naa kara, Bhook janta tha aur waitha zara, Aur bhatka desh pardesh thora, Kuch zayda bhook ka tha jo adhmara, Aur taalash do waqt roti ki thi zara...
Mere saher ki galiyan, Dhundta in galiyon me jaise chipa, Hua mere raaj, Raaj na karta par lagta raja ka aihsas, Aur yaha ke logo ko naa aitraj, Ghumta inn galiyon me din raat, Mere saher ki galiyan, Shaant yah galiyan aur rakhti mann shaant, Mann ke kai jawale, Rakhe jise sambhale, Dekha inn galiyon ne mujhe, Bann mere rakhwale, Yaha makdi ke jale, Sarr par jhulti taare, Khele yaha jeete haare, Hamare bhaichare, Taohaaar hamare, Khayalat na khare, Jab galtiyan saadhe, Khair naa hamare, Sahar kafi saare, Aur galiyan hazare, Par dekh mere saher ki galiyan, Nayab aur bit-ti yaha sadiyan, Sada sukoon bikhere, Jaise mashuka mere, Saher jo yah mera, Aur yah galiyan hamare, Hum na seedhe saadhe, Umrr dar umrr inn galiyon mein bit-te jate, badhte jate, Ye galiyan jo hamare... ,
LYRICS=Mai hasa tha, Hasi jawa thi, Hasa yu Zindagani rawa lagi, Hasi meri kalam ki nokh se likhi lagi, Syahi hass hass, Zindagani meri likh rahi, Likh rahi ek ek baate sach ho rahi, Baate mila sab saang hass rahe, Kah rahe Zindagani hasmukh badi, Aj jab kalam ki nokh tuti, Hassi syahi me Bassi rahi, Likh na aage kuch rahi, Aur Zindagani ki rawaiyan rakhi rahi, Logo ki hasmukh baate khushaal na rahi, Khushi jo meri likhi na gayi, Aur yah awaam mujhse judda hogayi, Aur na raha sab sahi, Uss kalam ki nokh ko dhund lu mai abhi, Aur likh du apni hassi ki kawi, Sab sahi jab mann PRAFULLIT tabhi, Zindagani tabhi hass mukh rahti, Aur mann ke anusar chalte chalti...
LYRICS=Itihas se seekh chala sansar bann khara, Aitihasik sansar Khara jaise sona, Chamak jiska sada hi rahna, Chamak hai yeh seekh ban, Wastwiqta ka reed, Reed jo hai apne galtiyon se seekh, Seekh Se hai agar sahmati, Toh success ki yeh reed, Toh Success se hai sahmati, MEHNATI jisme na loss, Hai yah ek ganit, Anko ka cos, Samay hai kathor na soft, Ithihas se na sahmati?, Toh hai loss, Yeh na kisi ki rahmat hi, Hai khud ka, Seekh jo thi aani, Na aayi abhi toh hass, Aur koshish kar sikhne-ki, Ithihas se hai seekh, Aur seekh se bhawishya, Rakh dhyraya toh vartaman na Rahasya, BAs itihas ki seekh... Aur na rah iske andhakar me rah mere meet, Issi se hai seekh aur isi se hai jeet...
Krodh,jalan,samajh ya na samajh ki aag dheere dheere dhad-aka, karti sabko raakh hai...Ek chota sa nazariye #Freeverse_friday. Aj seene me ajeeb si aag thi, Sulag rahi sadiyo se bana rahi rakh thi, Chorr kar gaye log kai the saath, Gine chune bach gaye kuch saath aath, Dhul me mili warso ki thaat, Hasi sunai di dusro ki jaisi tha-has, Bole maan lete meri baate kaas, Lagi mujhe inki baate jaise bhediye ya saanp, Tha mai jo middle class, Simti meri khusiyan choti choti jaise khaas, Aur sukh ki thi na jayda talash, Aur din badle-badle mere aihsas, Chorr kar gaye kuch khaas, Dhad-ka gaye ek choti si sulaag, Aur jal uthi yah aag, Aaj jalti seene me yah aag hai, Dheeme dheeme jal bana rahi rakh...
Dukh badi par mere nazariye hi thi...ek chota sa vivran zaroor sune
Jaat na pucho kisi ki puch lo uska gyan...bann khud sarwasresht ka hi rakhna dhyan...Jaat na kabhi pucho kisi ki...
जिने की चाह रखना har din bhale hi muskile badhe din prati din...ek chote se nazariye se vivran...
Maa ki sudha (bhook) apne bacche ko dekh simat jati hai...bhuki maa apne bacche ko kabhi bhooki rahne nahi deti...ek chota sa vivran zaroor sune is mothers day par...Saugat saari maa ka is sansar me
Baate beet jane ke baad...koi fayda nahi dohrane ka...sochne ka isliye jo beet gayi so baat gayi...ek chota sa freestyle...